Monday, April 13, 2009

Wah wah!!!!

Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
Khayalo me kisi aur ko la na sake,
Unko dekhkar ansu to ponchh liye hum ne,
Par kisi aur ko dekh kar muskura na sake.

Jab kabhi hamara dil udas hota hai,
Mere khayalon mein tera chehra paas hota hai.
Bolta to kuch bhi nahi woh,
Lekin uski khamoshi mein bhi kuch ehsaas hota hai.
Gham akelepan ka mita to nahi,
Par aane wali khushi ka ehsaas to hota hai.

aisa kahte hain mere Dost Piyush shroti!!!

No comments:

Post a Comment